Parivartan ki sugandh ne aaj dil ko mahkaya hai,
Jeevan mai jaise ek naya mod aaya hai,
kal tak jo sapne sanjoye they akele mai,
aaj unhi ko hakikat paya hai,
ek jamana bit gaya tha chand khawab dil mai chupaye hue,
aaj naye khawabo ko bunane ka vakt aaya hai,
dil mai umang hai,
aaj jeevan mai tarag hai,
har pal prateet hota jesse,
khushiyan aganya hai,
saflata ko aaj khud ke liye, palake bichaye paya hai,
aaj jeevan mai ek naya mod aaya hai,
lekin..
kya hai saflata sirf meri hai ???
kyon mein sirf apna hak jama raha,
na jane kitne logo ka,
har pal isme sahyog raha,
kyon mein aaj un sidhiyon ko bhul jata,
jinhone rasta diya muzhe manzil tak ka,
kyon mein ye kahta, ki hai ye sirf meri mehnat,
kya bina sidhi ke kabhi manzil ka nirman hua hai ???
saharon ko bhul jana fitrat mein nahi meri,
par unka karz chukane mai, mein khud ko akshamya samjhta hu,
isiliye mein kahta hu....
badalon ki aout se suraj nikal kar aaya hai,
saflata ke vakha par, per apna paya hai,
kal tak jo sapne sanjhoye they akele mai,
unhe vartaman mai hakikat paya hai,
sabke honthon par muskan aur dil mai khushi ko naya lakshay banaya hai,
aaj chaman se sabke liye, phool chunane ka vakt aaya hai,
sabko khushiya batne ka ahsas, sachmuch adbhut paya hai,
aaj jeevan mai ek naya mod aaya hai.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment