Hey,
I found this thing on my PC. Dont remember when I wrote this :
na duniya main kitabe hoti, na kabhi library,
na kabhi teacher hota, na kabhi lecture,
na kabhi exam hote, na kabhi apun fail hote,
haste haste jeete aur haste haste marte,
par in kitabo ne na jeena haram kar rakha hai,
roz ke lecture ne pata nahi kitne ghanto ko barbaad kar diya hai,
exam se jyada result ne dara rakha hai,
ab waqt hai jagne ka, aage badhkar kuch karne ka,
atyachar se ladne ka, khel-kood ki chahat ko apna hak samjhne ka,
to kyun nahi aaj se hi virod ki tuli jalaye,
apne khelne koodne ke dino ko sunhara banaye,
aaj ki aag na jane kitne massom bachon ke kaam aayegi,
virodh mai mar bhi gaye to kya, tumhari ek frame mai sadiyon tak puja ki jayegi,
bacha bacha duhai dega tumhari vijay gatha ka,
tumhare naam se shahido ki list shuru ki jayegi,
to kyun nahi aaj se hi lecture lab exam and result, sabko ko band kareye,
roz ke liye khelon aur sirf khelon ko compulsory karwaye,
khud aage badhkar virod ki tuli jalaye.
lakho masoom bacho aur bado ko dharti pe swarg dikhaye,
dharti se padhai ka namo-nishan mitaye,
to kyun nahi aaj hi virodh ki tuli jalaye,
somewhat funny ... lol
Monday, March 31, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment