prawah iss nadi ka to, aaj bhi wahi to hai,
hawaye bhi ussi disha mai, vesse hi to bah rahi,
mausam bhi wahi to hai, prahar bhi wahi to hai,
par pani pine aane wale panchi hi badal chuke,
naye kinaro ki talash mai, purane panchi udd chale.
ye nadi aaj unka, intzaar karti hai,
aaj unse bar bar ye sawal karti hai,
kinare badal badal ke, kahan tak jaoge tum,
jharno mai khoob pani hai, par kya wo pee paoge tum,
jis din sagar pahunch ke bhi, pani na pee paoge tum,
ye hawaye ye mausam, kya uss din bhula paoge tum.
mere pani ke daman mai, kood ke wo khilkhilana,
phir dubki lagakar, sar ko bhigana,
achanak bahar nikal ke, kinare pe kood jana,
phir kinare se udkar, pani pe tairne ko aana,
wo din, wo chgalbaji, kabhi na bhula paoge tum,
ek din laut ke mere hi paas aaoge tum.
mere pani se hi to wo ped tha bada hua,
jiski dali pe tumne apna ghosala khada kiya,
apne jeevan ke aadhar ko iss tarah na bhula paoge,
muzhe pata hai, ek din laut ke aaoge tum.
ye dil phir bhi tadapta hai, sawal ye karta hai,
kyun tum na samjh paye ye, kyun laut ke naa aaye ab tak,
dusare naye panchi aane lage hai ussi daal pe ab,
mere hi pani mai wo khilkhilane lage hai,
isse pahle ki mein prawah apna badal du,
mein bhi naye raste, naye kinare tay kar du,
laut aao tum ab, der na ab karo,
muzse mitha pani, kahi na dundh ppaoge tum,
ye hawaye ye mausam, us din soch ke tadap jaoge tum,
jis din samander se laut ke aaoge tum,
aur apne purane ghosale ke paas koyi nadi na paoge tum.....
.
.
.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment